Munni Begum

Munni Begum - Ae Mere Hum Nasheen lyrics

rate me

aye meray dil kisi say bhi shikwa na kar, aap bulandi pay tera sitara nahin

ghair ka zikr kia, ghair phir ghair hai, jo hamara tha woh bhi hamara nahin

aye meray ham nasheen chal kahin aur chal haaye, is chaman main ab apna guzara nahin

aye meary ham nasheen chal kahin aur chal, is chaman main ab apna guzara nahin

baat hoti guloon tak to seh laitay hum, ab to kantoon pay bhi haq hamara nahin (2x)

aye meray ham nasheen

di sada daar par, aur kabhi toor par, kis jagah mainay tumko pukara nahin (2x)

thokrain yon khilanay say kia faida, saaf keh do kay milna gawara nahin(2x)

aye meray ham nasheen

aaj aaye ho tum kal chalay jao gey, yeh mohabbat ko apni gawara nahin (2x)

umr bhar ka sahara bano to bano haaye, do ghari ka sahara, sahara nahin

umr bhar ka sahara bano to bano, do ghari ka sahara, sahara nahin

aye meray ham nasheen

gulsitaan ko laho ki zaroorat pari, sab say pehlay hi gardan hamari kati (2x)

phir bhi kehtay hain mujh say, yeh ahl-e-chaman haaye, yeh chaman hai hamara, tumhara nahin

phir bhi kehtay hain mujh say, yeh ahl-e-chaman, yeh chaman hai hamara, tumhara nahin

aye meray ham nasheen

zaalimo apni kismat pay nazaan na ho, dor badlay ga, yeh waqt ki baat hai (2x)

woh yakeenan sunay ga sadayen meri, kia tumhara khuda hai hamara nahin! (2x)

aye meray ham nasheen chal kahin aur chal, is chaman main ab apna guzara nahin

baat guloon tak to seh laitay hum, ab to kantoon pay bhi haq hamara nahin

aye meray ham nasheen

apne rukh se zulfain hata li jiye

mera zouq e nazar azma li jiye

aj ghar se chala hun main ye soch kar haye

y to nazri nahi ya nazara nahi

Thanks to M.Mehmood Amjad Sheikh for correcting these lyrics

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found