Attaulah Khan Essa

Attaulah Khan Essa - Tum Ko Shuhrat Ho lyrics

rate me

ey zindagi ik baar tou nazdeek aa tanha hoon main

ya door se phir dey mujhay koi sadaa tanha hoon main

dunya ki mehfil mein kahin main hoon bhi shayed ya nahi

ik umer se iss soch mein, dooba hoova tanha hoon maiin

tumko shuhrat ho mubarak ho, humein ruswa na karo

kitnay badal gaye hain wo halaat ki tarah

jub bhi milay hain pehli mulaqaat ki tarah

hum kia kisi ke husn ka sadqa utaartay

ik zindagi mili bhi tou khairaat ki tarah

tumko shuhrat ho mubarak, huemin ruswa na karo

khud bhi bik jao gey ik roz yeh soudaa na karo

tumko shuhrat...

shouq se pardah karo, pardah hai waajib lakin

meri qismat ke andhairon mein izafa na karo

khud bhi bik jao gey ik roz yeh souda na karo

tumko shuhrat ho mubarak humein ruswa na karo

choom lainay dou rukh-e-yaar ko ji bhar ke humein

zindagi pyar hai tum pyar se roka na karo

khud bhi bik........

koshishain karnay se halaat badal jaatay hain

khud bigaarri hui taqdeer ka shikwa na karo

khud bhi bik.........

bandagi hee se to hai, banda nawazi unki

ba'az nadaan yeh kehte hain keh sajda na karo

khud bhi bik.........

arsh pe khaak nasheenon ka basaira toubah

jo na poori ho, kabhi aisi tamanna na karo

khud bhi bik........

husn ko tum ne khuda samjha hai lakin ey muneer

khud banaye hoovay, ma'bood ki pooja na karo

khud bhi bik jao gey ik roz yeh souda na karo

tumko shuhrat ho mubarak humein ruswa na karo

tumko shuhrat ho mubarak humein ruswa na karo

tumko shuhrat ho mubarak humein ruswa na karo

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found