Noor Jahan

Noor Jahan - Kahan Tak Suno Gey Kahan Tak Sunaoon lyrics

rate me

Muhabbat ka naghma hai main naghma gar hoon

Yeh nama kisi ka hai main nama bar hoon

Parhoon khat k mazmoon zubani sunaaoon

Hazaaroon hi shikwey hain, kia kia bataoon

Kahan tak suno ge kahan tak sunaoon

Hazaron hi shikwe hain, kia kia bataoon

Huzoor aap par ek jahan ki nazar hai

Nigahe Karam se bhi mujhko ye dar hai

Jahaan ki nazren kahin aa na jaoon

Kahan tak suno ge

Zamana hua hai, mujhe muskuraey

Mohabbat me kia kia, ye sadme uthaey

Kise yaad rakhoon, kisey bhool jaoon

Kahan tak suno ge

Dua hai yahi kuch zubaan tak na aaey

Muhabbat ka shikwa bayaan tak na aaey

Jalein zakhm dil key magar muskaraoon

Khahan tak suno gey kahan tak sunaoon

Hazaroon hi shikwey hain, kia kia bataoon<br />

<br />

Thanks to Muhammad Jamil

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found